Monday, August 14, 2006

SHER & SHAYARI

"MIRZA GHALIB"

mitti meri kabr pe gira raha hai koi
mar ke bhi mujhe yaad aa raha hai koi
ae khuda do pal ki zindagi aur de de
udsaas meri kabr se jaa raha hai koi.

unke dekhe se jo aa jaye hai chehre pe raunak
wo samajhte hai bimar ka haal achha hai.

Ek hi ullu kafi hai barbade gulistan ke liye
har shhakh pe ullu baitha hai anzame gulistan kya hoga

Lumha lumha bikhar raha hoon
main waqt hoon,guzar raha hoon
logon k dil main dard bunkar
janay kub say utar raha hoon
chehra chehra mayri kahanee
ankhon ankhon bikhar raha hoon
lay aee zindagi kahan per
upni aahut say dar raha hoon
sahmay sahmay say rastay hain
dar dar kay paaon dhar raha hoon
shehron main admi bohat hain
insan talash ker raha hoon
youn jee raha hoon Adil jaisay
main koi gunnah ker raha hoon ......

Dil hi toh hai na saang-o-khist,dard se bhar nah aaye kyun,
Royenge hum hazaar bar koi humein rulay kyun...

Na Kuch tha to Kudha tha
Na Kuch hota to Kudha hota
Duboya mujhko hone ne
Na main hota to kya hota..


meharbaan ho kar bula lo mujhay chaho jis waqt
main gaya waqt nahin hoon k phir aa bhee na sakoon
zeher milta hee nahin mujh ko sitamgur warna
kya kasam hai teray milnay kee keh khaa bhee na sakoon.


nadan hain jo kehte hain kyun jeete ho ghalib
kismat main hai marne ki tamanna koi din aur.


Zindagi apni jab is shaql se guzri 'ghalib'
Hum bhi kya yaad karenge ki khuda rakhte the.

zindagi se badhi saza hi nahin,
aur kya zulm hain pata bhi nahin.

Hamko maloom hai jannat ki haqeekat lekin
Dil ke khush rakhne ko ghalib ye khayaal achcha hai




1 comment:

~Nayan~ said...

" girha yahan lagata hun gaanth kahin aur padti hai "

god dialogue in MIRZA ghalib serial...